Wo shaks jo mera ho kar bhi mera na ho saka - Sandy


Hy friend my self sandy(sandeep)

Baat kareeb 5 saal pehle (2006) ki hai main ek ladki ko pasand karta tha uska naam pinki real name (suman) tha pata nahi kis tarah main uski taraf attract huva aur main usse pyaar karne laga par main ye sab usse keh nahi sakta tha phir mere dost ne meri help ki aur usse ja kar mere dil ki baat kahi pehle to usne kaha sochugi and baad me mana kar diya mujhe bahut bura sa laga dil mano jaisa toot sa gaya ho fir bhi maine use nahi choda main use pana chahta tha chahat ki aakhri had tak,mar mitne ki had tak maine uske liye poore din school ke bahar uska wait kiya shayad bhagwan ne meri dil ki baatein sun li aur wo bhi meri taraf aattract hone lagi esi beech meri school life bhi complete ho chuki thi aur hume us ilake se shift karna tha aakhri din jab main waha se jaa raha tha to mera dil baith sa raha tha aur afterall wo mujhse milne aayi and last time usne mujhse kaha ki agar mujhse koi galti huyi ho to maaf karna ye doo word mere dil ke paar ho gaye mujhe ajeeb sa feel huya meri aankhe bhar gayi aur main usse kuch na keh saka mujhe pata bhi nahi tha ki hum milenge ki nahi but dil me itna viswaas tha ki usse milne ke liye har haal me aaunga uske baad main new year ke din usse milne ki ikcha se gaya but uski dance classes thi aur wo mujhe mil nahi payi haalanki wo mujhe sirf pasand hi karti thi pyaar ka shayad use khud bhi pata nahi tha ki karti hai bhi ya nahi par main usse mil nahi paya main reason uska bhai mera bahut accha dost tha aur uske samne main usse kaise mil pata kareeb 3 ya 4 baar aisa hi huya main usse milne gaya aur uska chehra dekh kar hi main khush humare liye kafi tha afterall ek din mere friend se usne mera number le kar usne mujhe phon kiya first time jab maine uski aawaj suni to main khusi se pagal ho gaya fir hun roj roj baatein karne lage dheere maine use propose kiya lekin usne mujhse time maanga aur maine use kaha ki aapke liye to hum poori umar intjaar kar sakte hai aur hum bahut acche dost ban gaye mere aur uske beech bahut si cheejo ka combination hai yaha tak hum dono ka birt! hday bhi ek hi din aata hai mujhe uske dil tak pauchne aur sochne ke liye 5 saal lag gaye diwali aane wali thi maine usse milne ka prograam banaya aur hum mil bhi gaye lekin bahut muskilo se fir face to face khuch keh na sake lekin maine uski aankho me apne liye chahat dekh li thi ab wo bhi mujh se baat kiye bina reh nahi sakti thi hum roj roj phone par batein karte the agar wo mujhe phone na kare to mujhe chain nahi aata phir ek din baat karte karte usne mujhe first time i love u kaha mujhe laga ki mujhe duniya ki sabse badi khusi mil gayi ho main bahut khush tha main usse shaadi karna chahta tha but humare beech cast ka different tha aur humari shaadi ke liye na uske parents maante aur na mere parents par main uske liye apne parents ke khilaaf tak jane ko taiyar tha par wo apne parents ke khilaaf nahi ja sakti thi maine use bahut samjhaya ki main uske bina nahi jee sakta par wo kehti ki waqt jaha hume le jayega hum chalte jaayenge ya to use humare ek na hone ki umeed thi ya fir usne ek hona nahi chaha main use khona nahi chahta tha main darta tha ki kahin wo mujhse door na ho jaye fir maine use apni aur uski shaadi ke liye force kiya fir achanak ek din uska phone aaya usne mujhse kaha ki wo mujhse pyaar nahi karti hai usne mere saath majak kiya hai pehle to maine socha ki na mil pane ke karan wo aisa keh rahi hai phir maine usse mil kar baat karne ko kaha maine use bahut samajhaya par wo maani nahi yaha tak ki apne pyaar ki bheek tak maangi lekin jo chahat uski aankho me pehle thi wo ab nahi thi aaj main use bhulane ki bahut koshis karta hu par bhula nahi pata meri jindgi me positive point to ye hai ki main usse bahut nafrat karta hu aur negitive point ye hai ki bhagwaan ke dar par na chahate huye bhi uske liye duva maang hi leta hu ab aap hi batao ise apni badkismat samajhu ya fir uski bewafaai wo mera ho kar bhi mera na huya jo es kahani ko padh rahe hai unse ek hi baat kahunga pyaar karo par itna nahi ki uske na milne par insaan khud se rooth jaye aaj bhi meri raaton ki neende tak gayab hai kiske karan uski! chehra aaj bhi mere aankho se hat ta nahi hum to ishq me is kadar jal gaye ki ab to dil lagane tak se dar lagta hai ok by