"Jindagi Ka Vo Muhana Yaad hai"



Vo kagaz ke tukado se khelna,
Vo Mitti ki Rotiya Belna.
Vo patthar uchaai tak fekna,
Vo Amrud chura-churakar khana yaad hai.
Jindagi ka vo muhana yaad hai.

Vo din-bhar ki uchal-kud,
Vo masti me ki toot-foot .
Vo feriwale ki nakal utarana,
Vo khush hokar jor-jor se chillana yaad hai.
Jindagi ka vo muhana yaad hai.

Vo bachapan ki dosti, Vo takraar,
Vo hardam masti, Vo lalkaar.
Vo mitti ki khushabu se mahakta aangan,
Vo tar-batar kar dene wala sawan yaad hai,
Jindagi ka vo muhana yaad hai.

Vo papa ki maar, Vo mumma ka dulaar,
Vo didi ki daat, Vo homework ka haat.
Vo teacher ka gussa,
Vo khargosh-kachuye ka kissa yaad hai.
Jindagi ka vo muhana yaad hai.

Vo udane ki kwaahish,
Vo har kuch paane ki farmaayish,
Vo har kaam karne ki aajmaayish.
Vo sapno ki basti basana yaad hai.
Jindagi ka vo muhana yaad hai.

Yaad nahi hai to bas Vo Akelapan,
Vo chidchidahaat, vo Ghabrahat,
Vo har baat ka tension,
Sirf Jo ab saath hai.
Jindagi ka vo muhana yaad hai.