meray ruknay se meri saansain bhi ruk jaaingi


meray ruknay se meri saansain bhi ruk jaaingi
faaslay aur baraah do k mein zinda hoon abhi

Allah jaane maut kahaan mar gayi “Khumar”
ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahi rahi ....

Ye judaiyo ke raste badi dur tak gaye hai,
Jo gaya wo phir na aaya meri baat maan jao....

woh jo karta hai wafa ke waade;
abhi us shakhs ne dekha hi kya hai ....

"Mat poocho ki kis tarah chal rahi hai zindagi
us daur se guzar rahe hein jo guzArta hi nah"i

"Raat aadhi thi jab wo bicharay thay,
Beet gai umar raat abhi baki hay "

"Rooh tak nilaam ho jatii hai Bazaar-e-Ishq mein 'Mohsin'
Itna asaan nahi hota................ kisi ko apna bana lena."

"Kis Tarha Khatam Karain Unse Rishta Aapna.....
Jinko Sirf Sochte Hain To Saari Kainaat Bhool Jate Hain"