Dard se hath na milate to aur kya karte,


Dard se hath na milate to aur kya karte,
tanhai ke aansoo na bahate to aur kya karte,

Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.

Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni sunane se pahle,
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hain ye aankhen muskuranese pahle.

Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai,
Ae dost chahat to wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponchh liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.....