zindagi thi ajeeb si meri.....


zindagi thi ajeeb si meri.....
haqikat kuch bhi nahi thi
sab ke sab usme khawab the...
chahat thi jiss khusi ki mujhe...
vo khusi mil na saki mujhe...
us khusi me mere gam be hisab the

kis se puchhe pata hum un khawabo ka

kese kare intejar raat hone ka ab hum
vo khawab to khuli aankho se
dekhe gaye khawab the
kisse puchhe pata hum un raaho ka aaj
jin par koi aaya jaya hi nahi karta tha...
khade hai un raaho par ab bhi hum...
sayad kisi ke aane ka intejar hai...

zindagi ajeeb si hai meri....

haqikat kuch bhi nahi......
khade rahe the hum ek hi jagah...
naa jaane fasale kese badate gaye
haqikat kuch bhi nahi bas...
sab ke sab usme khawab hai
dard agar thoda kuch kam ho to....
sayad mushkura kar.....
chhipa bhi lete apne har gam ko..

par kese mushkurate te.....

in aankho se jin aankho me aansuo ke sailab the
unse to koi jawab mujhe...
har sawal ka naa mil saka....
mout ke daman me hi bas sayad...
humare har sawalo ke jawab the
zindagi thi ajeeb si meri.....
haqikat kuch bhi nahi thi
sab ke sab usme ke khawab the.