BETIYA,

Bahut chanchal bahut khushnuma si hoti h BETIYA,
Nazuk sa dil rakhti h masum si hoti h BETIYA,
Bat bat par roti h nadan si hoti h BETIYA,
H rehmat se bharpur khuda ki nemat ye BETIYA,
Ghar bhi mahek udhta h jab muskrati h BETIYA,
Hoti h ajib si taklif jab 6od k chali jati h BETIYA,
Ghar lagta h suna suna kitna rula jati h BETIYA,
Babul ki ladli hoti h BETIYA,
Ye hum nahi kehte jab khuda bahut khus hota h tab janam leti h BETIYA.